Recents in Beach

Coined Biology Term



BIOLOGY TERM KI KHOJ

Coined biology Term

Dosto hum log aaj iss article me biology ke kuch topics cover kreinge. Kyunke wo chahe ssc ka exam ho ya koi bhi exam ho, biology se kaffi saare questions pooch liye jaate hain. Me aaj iss article k madhiam se biology ke kuch topics cover up krunga taa k usme se koi bhi question jekr aapko exam me milta h to aap usey kabhi bhi chhod k naa ayen. Iske sath hi dosto jeev vygyan bahut hi interesting subject hai, jise ye smj aa jaye, usey ye pdne me aur bhi maza aata hain. Kyunke isse hume pta chalta h k humare sharer ki gatividhiyan kese hoti hain. Apne shirr body k vaare me jaan na aksr ek bahut hi interesting visha rehta h. Chaliye dosto ab hum shuru krein aaj ka pehla topic. 

Jeev vygyan ki khoj (Biology):

Aaj ka humara mukhya topic yahi hai k akhir jeev vygyan (biology) shabd kahan se ayea?. Kisne ki iski khoj (coined term "biology"). To me apko btata hu k iski khoj k piche do log hue hain. Ek the Lamarck aur doosre hue hain Treviranus. in dono ne hi is term ki khoj ki thhi 1802 me. Biology ke ander mukhya roop se 2 aur shakhayen aati hai. Jine vanspati vygyan (Botany ) aur prani vygyan (Zoology) kehte hain. Dosto jinhone sbse pehle apne vichar diye the vanspati aur jeevo k jivan k baare me unka naam thha Aristotle ye question bhi bahut vaar poocha jata hai. Isliye Aristotle ji ko jeev vygyan (biology) ke pita (father) kaha jata h. itna hi nahi dosto unko prani vygyan (zoology) k bhi pita kaha jata h. aap log jante hi hain k jeev prani ek traha k ni hote . isliye unko alag alag shreynio me bhibhajt kia gya hai. Me aapko btata hu k unko kin kin shreniyo me bhibhajat (classified) kia gya h.
Whittaker ne 1969 me jeev praniyo ko 5 shreniyo me baanta h. wo inko 5 kingdom k naam se bulate hain. Wo hain :
1) Monera
2) Protista
3) Fungi
4) Plantae
5) Animalia
                Dosto ab me apko btata hu k in sb paanch shreynio me kaunse kaunse jeev kis kis shreni me aate hain. Bilkul asaan shabdo me btaane ka prayhas kr raha hu, koshish kr raha hu. Monera me jivanu (bacteria) aate hain aur mycoplasma aate hain. Mycoplasma unko bola jaata hai jin me cell wall ni hoti aur unki vja se kuch bimaryan (disease) ho sakti hain. Protista shreni me protozoa aate hain. Protozoa ko hindi me bhi protozoa hi kehte hain. Issey ese hi yaad rakhna aap log. Protozoa me ek cell se banne Eukaryotes aate hain. Eukaryotes wo hote hain, jin me nabhika (nucleus) clearly pribhashit (defined ) ho. Virus shreyni me wo up-suksham (micro-organism) parasites aate hain jo nucleoprotein se banne ho. Tobacco Mosaic Virus ko sbse pehle WM Stanley ne crystallized kia thha.
             Chaliye dosto I hope aap sbko ye article bhi achha laga hoga. Aur bahut saari jankriyan bhi mili hongi. Ab hum log mere agle article me milenge. Kal mene humare desh k ander Governor of India pe ek article likha tha. Mere dost job hi IAS civil service ya fir ssc cgl, mts ya koi bhi kisi bhi govt exam ki tyari kr rahe hain. Wo wahan se ye article jrur pd lein. Aapko bahut kuch sikhne ko milega.
            Isse pehle aaj hi mene ek Rigvedic Period pr bhi article likha thha. Wo English language me hai. Mgr mene bahut hi simple shbdo me likha h. usey bhi aap log jrur pd lein. Aur aasha krta hu ke aane wale articles me aur bhi bahut saari jaan kariyan aap logo tk pahunchata rahunga. Aapko aarticle ache lag rahe hain to jrur niche comment krein aur apne dosto ko bhi iss blog k baare me btayen… Take care dosto.. milte hain mere agle article me. 😊

Post a Comment

0 Comments